Friday, November 14, 2008

Apni Jang Rahegi


Jabtak chand lutere is dharti ko ghere hain
apni jang rahegi
Ahle Hawas ne jabtak apne daam bikhere hain
apni jang rahegi

Maghrib ke chjehre par yaaro apne khoon ki laali hai
Lekin ab uske sooraj ki naao doobne waali hai
Mashrique ki taqdeer me jab tak gham ke andhere hain
Apni jang rahegi

Zulm kahin bhi ho ham uska sar kham karte jaenge
Mahlon men ab apne lahoo ke diye na jalne paaenge
Kutiyaon se jabtak subhon ne munh phere hain
Apni jang rahegi

Jaan liya ai ahle karam tum toli ho aiyaron ki
Daste-Nagar kiyun ban ke rahe ye basti hai khuddaron ki
Doobe huwe dukh dard main jabtak saanjh asawere hain
Apni jang rahegi

No comments: